Mathura ki shaadi food series ke episode 2 mein shaam ke samay milne wale do chatpate items dikhaye gaye hain. Is video mein sabse pehle dahi gujhiya ka stall dikhaya gaya hai, jiska swaad dahi bada jaisa lagbhag tha. Dahi aur meethi chatni ke saath yeh item kaafi tasty lag raha tha.
Iske baad raj kachori ka stall dikhaya gaya hai, jismein alag-alag fillings ke saath ek bada aur chatpata snack tayar kiya ja raha tha. Raj kachori ke andar kya-kya dala gaya, yeh sab is video mein dikhaya gaya hai.
Yeh series ka doosra episode hai. Aage ke episodes mein aur bhi shaadi ke stalls aur items ka experience dikhaya jayega.